Dekhun To Mere Dil Mein Utarta Hai Ziyaada
dekhun to mere dil mein utarta hai ziyaada
shoala ki tah-e-ab nikharta hai ziyaada
kya jaaniye kya baat hai ab dasht ki nisbat
dil KHamushi-e-shahr se Darta hai ziyaada
andar ka wahi rog use bhi hai mujhe bhi
banta hai ziyaada wo sanwarta hai ziyaada
jo aankh ke jalte hue sahra se pare hai
baadal usi raste se guzarta hai ziyaada
ruKH shahr ki jaanib hua jangal ki hawa ka
aur shor mere dil mein ubharta hai ziyaada
'jafar' ye laga zaKHm-e-mohabbat bhi ajab hai
baDhta hai ziyaada jo na bharta hai ziyaada
(860) Peoples Rate This