Ba-sath-e-ab Koi Aks-e-na-tawan Na PaDa
ba-sath-e-ab koi aks-e-na-tawan na paDa
hawa guzar bhi gai aur kahin nishan na paDa
baDe sukun se dekha hai jalte lamhon ko
hamari aankh mein warna dhuan kahan na paDa
kaThin bhi aisa na tha meri teri sulh ka kaam
koi bhi shaKHs mere tere darmiyan na paDa
hue hain KHak KHamoshi ke dasht mein kho kar
hamare kan mein hi shor-karwan na paDa
bala ki dhup hai 'jafar' kisi ko hosh nahin
paDa hai abr ka saya kahan kahan na paDa
(693) Peoples Rate This