Arz-o-sama Pe Rang Tha Kaisa Utar Gaya
arz-o-sama pe rang tha kaisa utar gaya
aandhi chali to sham ka chehra utar gaya
tufan ki zad na shor-e-talatum mujhe batao
main mauj mein nahin hun ki dariya utar gaya
kya kya rahi kanar-e-mohabbat ki dhun mujhe
jin paniyon mein us ne utara utar gaya
ek kashmakash mein ab hain samundar paDe hue
sahra ki tah mein phir koi pyasa utar gaya
bikhra paDa hai KHak pe yun chandni ka jism
jaise meri hi ruh mein tesha utar gaya
'jafar' kabhi na ye mere wahm-o-guman mein tha
main aur us ke dhyan se aisa utar gaya
(899) Peoples Rate This