Apne Ehsas Se Bahar Nahin Hone Deta
apne ehsas se bahar nahin hone deta
raaz zahir bhi ye mujh par nahin hone deta
KHauf-e-ruswai se kar deta hai hairan aisa
meri aankhon ko samundar nahin hone deta
mom kar deta hai jab lauT ke aa jata hai
mujh ko furqat mein wo patthar nahin hone deta
dekhta hun to kabhi chand kabhi phul hai wo
apni surat mujhe azbar nahin hone deta
ji mein hai uD ke chala jaun jahan rahta hai
wo mera ghar bhi mera ghar nahin hone deta
jab bhi milta hai to bas TuT ke milta hai mujhe
apne gham ka mujhe KHugar nahin hone deta
ruTh bhi jate hain 'jafar' to mana lene mein
mujh ko apne se wo behtar nahin hone deta
(662) Peoples Rate This