Aks Ja-ba-ja Apni Zat Ke Giraata Hai
aks ja-ba-ja apni zat ke giraata hai
kaun aasmanon se aaine giraata hai
main ne rup dhaara hai us ki ruh ka aur wo
mere naqsh hi mere samne giraata hai
umr bhar uThaega dukh mere bikharne ka
aankh ki bulandi se kyun mujhe giraata hai
shoala-e-mohabbat aur aab-e-ashk ai nadan
raushni ko dariya mein kis liye giraata hai
wo hawa ka jhonka bhi mera saKHt dushman hai
shaKH se jo patte ko zor se giraata hai
jazb kar na le 'jafar' soch lahr ki tujh ko
tu kahan samundar mein kankare giraata hai
(699) Peoples Rate This