ChhoTi Si KhiDki
muKHtasar kamre ki
ek chhoTi si maghmum khiDki
kabhi dekhti hai jo bahar ki duniya
udasi bahut baDh jati hai us ki
magar samne ke hare lawn ke phul
champa chameli gulab aur bela ki poshak
pahne hue muskuraate hue
rang o KHushbu ke lahje mein us ko
sunate hain masum lamhon ka qissa
hatheli pe phir inhi masum lamhon ki
tahrir karti hai dilkash hansi
ek chahkar koyal ki
aur jab mohabbat ki ungli nazakat se thame
KHiraman KHiraman
anokha sa ek phul is lawn par
'mir' ke sher ki pankhuDi chunane lagta hai
tab waqt ke qahqahon ka
bahut KHushnuma silsila
Thahar jata hai
is muKHtasar kamre ki
chhoTi si khiDki mein
(904) Peoples Rate This