Aaj Phir Mujhse
aaj phir mujh se
mera kamra muKHatib hai
daraDen wo kabhi
chhat ki dikhata hai
kabhi diwar mein paDte shagafon ko
nishan jhulse hue rangon ka mujh ko
mubtila kar deta hai haibat mein
makDi ke subuk jale
hawa ke dosh par lahrane lagte hain
zawal-e-zindagi ka wo pata bhi dene lagte hain
zamin kamre ki
bosida kahani jab sunati hai
kiwaDon se sada uThti hai
rone aur sisakne ki
kabhi aahen si bharne ki
unhin lamhon ke sae mein magar
kuchh jhankti angur ki belen
dariche se tabassum ka shagufta aks
dikhlati hain aankhon ko
(662) Peoples Rate This