Har Taraf Mauj-e-bala Ki Si Rawani Dekhi
har taraf mauj-e-bala ki si rawani dekhi
ashk ki god mein majbur kahani dekhi
hum badalte hi rahe ishq mein mausam ke magar
ghar ki chaukhaT pe sada gard purani dekhi
dard ke sahn ko dushman nahin jaana hum ne
is mein dilkash nai duniya ki nishani dekhi
dasht-e-wahshat ki numaish ka hawala de kar
shahr-e-dildar ke tewar ki jawani dekhi
chand taron ke tale hath mein KHanjar thame
muskuraati si kahin ek diwani dekhi
ek aawaz nai kan mein gunji us dam
jab bhi taswir zamane ki suhani dekhi
KHush-libasi pe hawaon ki na jaana 'jafar'
us ke halqe mein pareshan si rani dekhi
(721) Peoples Rate This