BaiTha Tha Tan Ko Dhank Ke Jo Garm Shaal Se
baiTha tha tan ko Dhank ke jo garm shaal se
mushkil mein paD gaya wo sitaron ki chaal se
KHamoshiyon ki rah pe ho kar ke gamzan
rakhna kabhi na soch ka rishta malal se
ummid aisi un se matanat ki thi nahin
bachche bigaD gae hain bahut dekh bhaal se
dam-KHam to kuchh nahin tha haqiqat ke nam par
ghabra gaya jahan hamari majal se
kuchh maslahat ke nam pe chup chap hum rahe
waqif the warna waqt ke poshida haal se
chadar pe aasman ki bikhri thi chandni
aarasta zamin thi is ke jamal se
tum shahr ja rahe ho to jao magar wahan
arman milenge dekhna behad niDhaal se
afsurda fikr thi jo qadamat ke KHol mein
shadab ho gai hai wo raushan KHayal se
ek patte ki bisat tumhaari hai 'sahni'
miTTi mein ja miloge juda ho ke Dal se
(897) Peoples Rate This