Aarzu Aabaad Hai Bikhre KhanDar Ke Aas Pas
aarzu aabaad hai bikhre khanDar ke aas pas
dard ki dahliz par gard-e-safar ke aas pas
KHar ki har nok ko majruh kar dene ke baad
lauT jaana hai mujhe barg-o-samar ke aas pas
didani hain chahaton ki narm-o-nazuk laghzishen
gardish-e-ayyam mein sham-o-sahar ke aas pas
dur ek KHamosh basti ki gali mein dekhna
hai tamanna mutmain maKHdush ghar ke aas pas
chha gai tufan ke honTon pe shaitani hansi
dekh kar kashti shikasta si bhanwar ke aas pas
jab koi raushan nishan milta nahin hai dhund mein
DhunDhta hun naqsh-e-pa rah-e-guzar ke aas pas
phul patton ki faza se saj gai duniya mari
hai kahan arman mera lal-o-guhar ke aas pas
be-niyazi waqt se mujh mein na qaem ho saki
main sada hazir raha taza KHabar ke aas pas
kucha-e-dildar ka rangin zamana 'sahni'
aaj bhi aabaad hai zaKHm-e-jigar ke aas pas
(856) Peoples Rate This