Har-samt Tazgi Si Jharnon Ki Naghmagi Se Kitni
har-samt tazgi si jharnon ki naghmagi se kitni
mushabahat hai saqi teri hansi se
kya jaane kitne fitne uThte hain kaj-rawi se
wo shaKHs yun ba-zahir milta hai sadgi se
aksar ghazal hui hai kuchh aisi jaan-kani se
jaise ghazal dekhe sahra mein bebasi se
ek mard-e-ba-safa ne likha lahu se apne
izzat ki maut behtar zillat ki zindagi se
sadiyon talak rahi hai tahzib ki nigahban
patthar tarashte the kuchh log shairi se
ab aadmi bane hain ek dusre ke sail
ab aadmi gurezan rahta hai aadmi se
shoKHi-o-bazla-sanji doshizgi wahi hai
masumiyat gai bas ehsas-e-agahi se
jab ho gharaz to maliye warna khinche se rahiye
hum tang aa chuke hain is shan-e-dilbari se
'jafar'-raza tum ab tak achchhe-bhale the lekin
miTTi KHarab kar li kyun tum ne shairi se
(2225) Peoples Rate This