Wo ShaKHs Meri Rasai Se Mawara Bhi Na Tha
wo shaKHs meri rasai se mawara bhi na tha
bashar bhi KHair na hoga magar KHuda bhi na tha
kaha shuur ne us waqt harf-e-qum mujh se
ki la-shuur jagane se jagta bhi na tha
ajab thi saat-e-aghaz-e-gulsitan-bandi
nawed-e-gul bhi na thi muzhda-e-saba bhi na tha
wo ibtida-e-safar ab bhi yaad aati hai
kisi mein meri rifaqat ka hausla bhi na tha
ghalat-numa-o-ghalat-bin hain baz aaine
is e'tiraaz ko naqqad manta bhi na tha
shahid-e-zauq-e-taghazzul tha kam-suKHan 'jafar'
ghazal ki baat na chalti to bolta bhi na tha
(729) Peoples Rate This