Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1f39d2effc818598a379a24944eb6fac, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kitni Saza Mili Hai Mujhe Arz-e-haal Par - Jafar Baluch Poetry In English - Darsaal

Kitni Saza Mili Hai Mujhe Arz-e-haal Par

kitni saza mili hai mujhe arz-e-haal par

pahre lage hue hain meri bol-chaal par

kahte hain log joshish-e-fasl-e-bahaar hai

phulon ka jab mizaj na ho e'tidal par

tu apni siskiyon ko daba apne ashk ponchh

ai dost chhoD de tu mujhe mere haal par

phir aaj ismaton ki jabin hai araq araq

tohmat lagi hai phir kisi mariyam-KHisal par

mahsus barha ye hua hai ki zindagi

ek barf ki Dali hai kaf-e-barshgal par

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitni Saza Mili Hai Mujhe Arz-e-haal Par In English By Famous Poet Jafar Baluch. Kitni Saza Mili Hai Mujhe Arz-e-haal Par is written by Jafar Baluch. Read famous Poem Kitni Saza Mili Hai Mujhe Arz-e-haal Par for youth and Student by Jafar Baluch. Free Download Kitni Saza Mili Hai Mujhe Arz-e-haal Par in PDF.