Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_091a3b438fe1e366c4ff623b51655809, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jaan-e-fikr-o-fan Ab Bhi Ishq Ki Kahani Hai - Jafar Baluch Poetry In English - Darsaal

Jaan-e-fikr-o-fan Ab Bhi Ishq Ki Kahani Hai

jaan-e-fikr-o-fan ab bhi ishq ki kahani hai

lafz hain nae lekin dastan purani hai

zindagi ke afsane ek se sahi lekin

jo meri kahani hai wo meri kahani hai

dekhta hai rah rah kar munh nigah walon ka

misra-e-gharib apna naqsha-e-be-zabani hai

iltifat farmaen ya taghaful apnaen

muddaa hasinon ka sirf jaan-sitani hai

pur-KHata sahi 'jafar' be-wafa sahi 'jafar'

KHair tum sahi haq par baat kya baDhani hai

(673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan-e-fikr-o-fan Ab Bhi Ishq Ki Kahani Hai In English By Famous Poet Jafar Baluch. Jaan-e-fikr-o-fan Ab Bhi Ishq Ki Kahani Hai is written by Jafar Baluch. Read famous Poem Jaan-e-fikr-o-fan Ab Bhi Ishq Ki Kahani Hai for youth and Student by Jafar Baluch. Free Download Jaan-e-fikr-o-fan Ab Bhi Ishq Ki Kahani Hai in PDF.