Agarche Aah-e-sar-e-sham Bhi Zaruri Hai
agarche aah-e-sar-e-sham bhi zaruri hai
dil-e-sitam-zada aaram bhi zaruri hai
sitam-shiar ki tafrih-e-samea ke liye
KHarosh-e-murgh-e-tah-e-dam bhi zaruri hai
ziya-e-kirmak-e-shab-tab hi nahin kafi
sitara-e-sahar-anjam bhi zaruri hai
giran-baha hai mabahis ki shabnam-agini
agarche burrish-e-samsam bhi zaruri hai
baDi hai baat to munh bhi baDa muhayya kar
phir is ke sath baDa nam bhi zaruri hai
sukut gul ka agar na-guzir hai 'jafar'
to andalib ka kohram bhi zaruri hai
(706) Peoples Rate This