Aaj Kisi Ki Yaad Mein Hum Ji Bhar Kar Roe Dhoya Ghar
aaj kisi ki yaad mein hum ji bhar kar roe dhoya ghar
aaj hamara ghar lagta hai kaisa ujla ujla ghar
apne aaen sar aankhon par ghair ki ye baiThak na bane
ghar aaseb ka ban jaega warna hansta-basta ghar
ghar ko jab hum jhaDen-pochhen rahte hain mohtat bahut
gard-alud nahin hone dete hum ham-sae ka ghar
tum ne kaDiyan jhelin aur ghairon ke ghar aabaad kiye
rah tumhaari takta hai aabai suna suna ghar
jo aaram hai apne ghar mein aur kahan mil sakta hai
TuTa-phuTa bhi ho to bhi apna ghar hai apna ghar
ek anjaane Dar ne nind uchak li sab ki aankhon se
kitni hi raaton se musalsal be-aram hai ghar ka ghar
meri ruh birogan rah rah kar chillati rahti hai
mera ghar mera pyara ghar mera pyara pyara ghar
aawaragardi ke sabab wo din-bhar to matun raha
jab suraj maghrib mein Duba 'jafar' bhi ja pahuncha ghar
(681) Peoples Rate This