Hum Hi Ne Sikh Liya Rahguzar Ko Ghar Karna
hum hi ne sikh liya rahguzar ko ghar karna
wagarna us ki to aadat hai dar-ba-dar karna
na apni rah thi koi na koi manzil thi
tabhi to chaha tha tujh ko hi ham-safar karna
thin garche gird mere KHamushi ki diwaren
tumhaare waste mushkil nahin tha dar karna
tumhaari tark-o-talab jism-o-ruh ki uljhan
hamein bhi aa na saka KHud ko mo'atabar karna
teri nigah-e-taghaful-shiar ke sadqe
hamein bhi aa hi gaya hai guzar-basar karna
jo ab ke dard uTha dil mein aaKHiri hoga
jo ho sake to use mera chaaragar karna
main chur chur hun dekho bikhar na jaun kahin
meri duaon ko itna na be-asar karna
bahaar aai hai is bar kuchh likhen hum bhi
sikhao hum ko bhi is dard ko shajar karna
(587) Peoples Rate This