Ek Ik Kar Ke Ho Gae RuKHsat Ab Koi Arman Nahin
ek ek kar ke ho gae ruKHsat ab koi arman nahin
dil mein gahra sannaTa hai ab koi mehman nahin
tum ne bhi sun rakkha hoga hum bhi sunte aae hain
jis ke dil mein dard na ho wo patthar hai insan nahin
dard kaDa ho to bhi aksar patthar ban jate hain log
marne ki ummid nahin hai jine ka saman nahin
kuchh mat bolo chup ho jao baaton mein kya rakkha hai
kyun karte ho aisi baaten jin baaton mein jaan nahin
auron jaisi baaten mujh ko bhi karni paDti hain rose
ye to meri majburi hai ye meri pahchan nahin
meri baaten sidhi sachchi un mein koi pech nahin
in ko 'mir' ki ghazlen jaano 'ghaalib' ka diwan nahin
dil ko bahlane ki KHatir hum bhi kya kya karte hain
KHub samajhta hai wo bhi sab aisa bhi nadan nahin
raat gae aksar yun hi kyun phuT phuT kar rote ho
KHak tale sone walon se milne ka imkan nahin
wo tha mere dukh ka sathi aur tumhein kya batlaen
us ka mera jo rishta tha us rishte ka nam nahin
wo hota to phir bhi shayad dard pe kuchh qabu rahta
tanhai se tanha laDna kuchh aisa aasan nahin
(658) Peoples Rate This