Apne Lail-o-nahaar Ki Baaten
apne lail-o-nahaar ki baaten
jabr ki iKHtiyar ki baaten
har taraf kab se ho rahi hain yahan
gardish-e-rozgar ki baaten
chaar-su yan pe maujzan hain sarab
zist ke regzar ki baaten
ek zamana guzar gaya yunhi
hum hain aur dasht-e-KHar ki baaten
is kaDi dhup mein mazahib mein
shajar-e-saya-dar ki baaten
hai zamin saKHt aasman chup hai
wah re parwardigar ki baaten
jis ki ek bhi jhalak na dekhi kabhi
kya hon us parda-dar ki baaten
mat karo be-hisar ki baaten
mat karo be-kanar ki baaten
ye jo pyari zamin mili hai tumhein
bas karo is dayar ki baaten
gar karo apne dil ki baat karo
han isi sogwar ki baaten
(709) Peoples Rate This