Ajib Baat Thi Har Sher Pur-asar Thahra
ajib baat thi har sher pur-asar Thahra
main is ki bazm mein kal raat ba-hunar Thahra
hua jo aa ke wo mehman baad muddat ke
lahun mein raqs hua baam par qamar Thahra
mumanat ka taqaza tha jis se dur rahen
chaman mein wo hi shajar sab se ba-samar Thahra
junun ki bhik kahin bhi na mil saki us ko
gada-e-hosh yahan garche dar-ba-dar Thahra
ajib raqs tha bismil ka har tamashai
taDap ke dard se yaksar hi be-KHabar Thahra
aqidaton ke dhundlakon mein aur kya hota
har ek fiqra yahan us ka mo'atabar Thahra
mujhe na qatl karen bas payam laya hun
meri haqiqat hi kya main to nama-bar Thahra
safina garche kinare pe ja laga lekin
sawal ye hai idhar Thahra ya udhar Thahra
na jaane kitni hi samten bula rahi hain mujhe
har ek qadam pe hai mujh ko naya safar Thahra
na dekh paya koi aankh-bhar ke aaina
KHud apna chehra yahan bais-e-mafar Thahra
Thahar ke jis ne bhi kuchh der KHud ko dekh liya
wo apni wahshat-e-be-ja ka chaaragar Thahra
hai jaane kitne hi pardon mein mahw-e-araish
jhalak bhi dekh li jis ne wo dida-war Thahra
har ek shai se mohabbat hai bas ilaj yahan
bas ek nusKHa yahi hai jo kargar Thahra
shurua hua tha abhi aur qarib KHatm hai ab
ye zindagi ka safar kitna muKHtasar Thahra
(759) Peoples Rate This