Abhi To Mahw-e-tajalli Hain Sab Dukanon Par
abhi to mahw-e-tajalli hain sab dukanon par
palaT ke dekhiye aate hain kab makanon par
KHayal-e-KHam mein guzri hai zindagi sari
haqiqaton ka guman hai abhi fasanon par
qadam qadam pe tazadon se sabiqa hai jahan
yaqin kaise kare koi in gumanon par
wo jis ki chah mein mar mar ke ji rahe hain yahan
na jaane kaun si basti hai aasmanon par
jahan bhi tir laga bas wahi hadaf Thahra
hai phir bhi zoam bahut un ko in kamanon par
main un ki baat ko kis taur mo'atabar jaanun
madar-e-zist hi jin ka hai kuchh bahanon par
kaDi hai dhup jhulasti hain ab dalilen sabhi
yaqin hai phir bhi unhen kitna saebanon par
nazar mein zehn mein dil mein kushadgi lao
hawa ke ruKH ka taqaza hai baadbanon par
na jaane kitni hi sadiyan lagengi aur abhi
dilon ki baat jab aa paegi zabanon par
ajib un ko saliqa hai khul ke jine ka
nai hai kaun si tohmat ye hum diwanon par
hamari zat se aabaad kuchh KHarabe hain
hai apne dam se ujala kai maqamon par
KHirad-nawaz junun aur junun-nawaz KHirad
hain ab bhi nur tariqe ye kuchh Thikanon par
use jagao Dase tum ko mar Dale tumhein
tumhaari zat mein baiTha hai jo KHazanon par
(840) Peoples Rate This