Ab Firaq-o-visal Bar Hue
ab firaq-o-visal bar hue
umr guzri hai be-qarar hue
is ki be-e'tibariyon ke tufail
kitne hi gul yahan pe KHar hue
KHwab do ek hi bache zinda
qatl baqi to be-shumar hue
kyun raha ghairiyat ka sa ehsas
jab bhi hum us se kam kanar hue
mere us ke muamle ab to
sare aalam pe aashkar hue
kuchh nai ye malamaten to nahin
aise tane to bar bar hue
jurm kya hai pata nahin ab tak
han magar rose sangsar hue
kitne hi trahdar hum jaise
is KHarabe mein KHaksar hue
kis qadar mubtala the hum KHud mein
KHud se nikle to be-kanar hue
'mir'-o-'ghaalib' ki KHak-e-pa ke tufail
hum bhi kis darja aab-dar hue
(643) Peoples Rate This