Kuchh Aise Ahl-e-nazar Zer-e-asman Guzre
kuchh aise ahl-e-nazar zer-e-asman guzre
ki jin ke farsh pe bhi arsh ka guman guzre
mere sukut-e-musalsal ko bhi sada dena
agar idhar se kabhi sorish-e-zaman guzre
tujhe KHabar hai teri yaad mein sar-e-mizhgan
tamam raat sitaron ke karwan guzre
wahi to hain meri barbaad umr ka hasil
jo hadsat jawani mein na-gahan guzre
tilism-e-husn-o-mohabbat nahin to phir kya hai
dilon ki baat nigahon ke darmiyan guzre
tumhaare wada-e-farda ki zad mein jo aae
phir us ki raat kahan guzre din kahan guzre
ab apna haal-e-dil-e-zar kya kahun 'jafar'
har ek baat meri un pe jab garan guzre
(642) Peoples Rate This