Jo Hasin Husn-e-taghaful Se Guzar Jata Hai
jo hasin husn-e-taghaful se guzar jata hai
chahne walon ke wo dil se utar jata hai
jis taraf sehn-e-chaman se wo guzar jata hai
rang phulon ka kahin aur nikhar jata hai
aa bhi jao ki dua mang raha hun kab se
baat rah jati hai aur waqt guzar jata hai
umr-bhar karwaTen leta hai wo paikan-e-nazar
aankh ki rah se jo dil mein utar jata hai
mere kahne se zara zulf sanwaro to sahi
log kahte hain muqaddar bhi sanwar jata hai
bahr-e-gham mein teri yaadon ka sahaara le kar
gham ka tufan bhi mere sar se guzar jata hai
yak-ba-yak kaise bhula dun unhen 'jafar' dil se
jate jate hi mohabbat ka asar jata hai
(634) Peoples Rate This