Jawani Ki Umangon Ka Yahi Anjam Hai Shayad
jawani ki umangon ka yahi anjam hai shayad
chale aao ki wade ki suhani sham hai shayad
jo tishna tha kabhi saqi wo tishna-kaam hai shayad
usi bais to nazm-e-mai-kada badnam hai shayad
hansi ke sath bhi aansu nikal aate hain aankhon se
KHushi to meri qismat mein barae-nam hai shayad
jise mai-KHwar pi ke mai-kade mein raqs karte hain
teri aankhon ki masti saqi-e-gulfam hai shayad
uDai shama ne jab KHak-e-parwana to main samjha
mohabbat karne walon ka yahi anjam hai shayad
jo ab tak mai-kashon ke pas muddat se nahin aai
abhi gardish mein KHud hi gardish-e-ayyam hai shayad
main danista ab un ke samne KHamosh hun 'jafar'
KHamoshi bhi meri ab morid-e-ilzam hai shayad
(615) Peoples Rate This