Chaman Mein Khaar Hi Kya Gul Bhi Dil-figar Mile
chaman mein KHar hi kya gul bhi dil-figar mile
fareb-KHurda-e-rangini-e-bahaar mile
maza to jab hai ki wo aaftab-e-subh-e-jamal
gale lipaT ke sar-e-sham-e-intizar mile
nigah-e-yas se munh tak raha hun ek ek ka
koi to bazm-e-raqiban mein gham-gusar mile
jinhon ne apne lahu se chaman ko sincha tha
unhin ke jaib-o-gareban tar tar mile
main un ke wadon ka yun bhi yaqin karta hun
mile mile na mile lutf-e-intizar mile
qafas ke baad chaman mein ye dekhna hai mujhe
KHizan mile ki wahan mausam-e-bahaar mile
wahi to fikr-e-suKHan aaj-kal kare 'jafar'
jise hayat ka mahaul KHush-gawar mile
(682) Peoples Rate This