Naddi Ye Jaise Mauj Mein Dariya Se Ja Mile
naddi ye jaise mauj mein dariya se ja mile
tum se kahin milun main agar rasta mile
milti hai ek sans ki mohlat kabhi kabhi
shayad ye raat bhi teri subhon se ja mile
jo bhi mila wo apni ana ka asir tha
insan ko DhunDne mein gai to KHuda mile
is ahd-e-intishaar mein kya ittifaq hai
dard-o-alam ye ranj-o-malal ek ja mile
dil mein zara KHulus na mehr-o-wafa ka rang
rasman bahut aziz bahut aqraba mile
meri shikast mein mere kuchh mehrban bhi the
meri safen jo chhoD ke dushman se ja mile
us samt se bhi guzre nai rut ka karwan
ghaaron ke basiyon ko bhi taza hawa mile
'jaanan' ye zindagi ke ajab sanehat hain
kuchh log apne-ap se aksar KHafa mile
(1902) Peoples Rate This