PeD Par Jaane Kis Ka Dhyan PaDa
peD par jaane kis ka dhyan paDa
ek patthar kahin se aan paDa
ek hijrat to mujh ko thi darpesh
hijr bhi us ke darmiyan paDa
ye shab-e-tar-tar meri rida
ye sitaron ka saeban paDa
ek palDe mein rakh diya tujh ko
dusre mein tha ek jahan paDa
kaisi Thokar lagi ye sapne mein
aankh par kis ka ye nishan paDa
ek muTThi mein phir zamin simTi
ek aansu mein aasman paDa
zindagi yaad aa gai mujh ko
phir teri samt mera dhyan paDa
tu ne nam-o-nishan diya mujh ko
mera hona tha be-nishan paDa
girte rahte hain is mein sham-o-sahar
bharta rahta hai KHak-dan paDa
ye hai kashti wajud ki 'jaanan'
ye phaTa dil ka baadban paDa
(951) Peoples Rate This