Duniya Ko Jab Pahchani To Kanp Gai
duniya ko jab pahchani to kanp gai
sar se jab guzra pani to kanp gai
pas raha to qurbat ka ehsas na tha
us ne jaane ki Thani to kanp gai
ghar se bahar jaan-lewa sannaTa tha
dekhi shahr ki virani to kanp gai
phulon ke malbus mein kaisa lagta tha
dekhi peD ki uryani to kanp gai
hijr ki shab ne 'jaanan' kya tahrir kiya
dekhi apni peshani to kanp gai
(801) Peoples Rate This