Dekhiye Kitne SuKHan-fahm SuKHan-war Aae
dekhiye kitne suKHan-fahm suKHan-war aae
main ne ek phul uThaya kai patthar aae
kar chuke tark-e-talluq to use sochna kya
dil se nikla hai to wo yaad bhi kyun kar aae
phir wahi raat ho baadal hon hawa chalti ho
phir wahi chand daraKHton se nikal kar aae
rah hamwar muqaddar mein nahin thi shayad
panw nikla tha abhi ghar se ki patthar aae
ek do gam-e-masafat thi teri galiyon ki
sari duniya ki thakan lad ke hum ghar aae
jang jari hai abhi jagte rahiye shab-bhar
jaane kas oT se chhup kar koi lashkar aae
kya koi gham ke ganwane ka hunar hath aaya
muskuraate hue jo ranj ke KHugar aae
dekh kar jis ki jhalak jaan mein jaan aati thi
ab sar-e-rah use dekh ke chakkar aae
is baras phul zyaada na sahi shaKHon par
barishen kam thin magar rang barabar aae
ab to is nind mein chalte hue ukta gae hum
ab to behtar hai kisi moD pe Thokar aae
ek do pal to faramosh bhi kar den us ko
han agar shaKHs koi yaad barabar aae
gham-gusaron mein mere chaaragaron mein aksar
mere dushman bhi kai bhes badal kar aae
log kis KHwab se rote hue uThe 'jaanan'
jaane kis qarya-e-matam se ye bahar aae
(783) Peoples Rate This