Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_254e5a9403a5635b5bdafa58d999f892, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aur Mahak Thi Jo Us Bagh Ki Ghas Mein Thi - Jaanaan Malik Poetry In English - Darsaal

Aur Mahak Thi Jo Us Bagh Ki Ghas Mein Thi

aur mahak thi jo us bagh ki ghas mein thi

us ke panw ki KHushbu bhi us bas mein thi

tujh barish ne tan phulon se bhar Dala

KHali shaKH thi aur is rut ki aas mein thi

tu ne aas dilai mujh ko jine ki

main to sansen leti miTTi yas mein thi

yaad to kar wo lamhe wo raaten wo din

main bhi tere sath usi ban-bas mein thi

har pal tere sath thi main kab dur rahi

main KHushbu thi aur tere ehsas mein thi

barish thi shab-bhar aur bhig rahi thi main

'jaanan' kaisi shiddat meri pyas mein thi

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Mahak Thi Jo Us Bagh Ki Ghas Mein Thi In English By Famous Poet Jaanaan Malik. Aur Mahak Thi Jo Us Bagh Ki Ghas Mein Thi is written by Jaanaan Malik. Read famous Poem Aur Mahak Thi Jo Us Bagh Ki Ghas Mein Thi for youth and Student by Jaanaan Malik. Free Download Aur Mahak Thi Jo Us Bagh Ki Ghas Mein Thi in PDF.