Tajziya
main tujhe chahta nahin lekin
phir bhi jab pas tu nahin hoti
KHud ko kitna udas pata hun
gum se apne hawas pata hun
jaane kya dhun samai rahti hai
ek KHamoshi si chhai rahti hai
dil se bhi guftugu nahin hoti
main tujhe chahta nahin lekin
main tujhe chahta nahin lekin
phir bhi rah rah ke mere kanon mein
gunjti hai teri hasin aawaz
jaise nadida koi bajta saz
har sada nagawar hoti hai
in sukut-ashna taranon mein
main tujhe chahta nahin lekin
main tujhe chahta nahin lekin
phir bhi shab ki tawil KHalwat mein
tere auqat sochta hun main
teri har baat sochta hun main
kaun se phul tujh ko bhate hain
rang kya kya pasand aate hain
kho sa jata hun teri jannat mein
main tujhe chahta nahin lekin
main tujhe chahta nahin lekin
phir bhi ehsas se najat nahin
sochta hun to ranj hota hai
dil ko jaise koi Dubota hai
jis ko itna sarahta hun main
jis ko is darja chahta hun main
is mein teri si koi baat nahin
main tujhe chahta nahin lekin
main tujhe chahta nahin lekin
phir bhi shab ki tawil KHalwat mein
tere auqat sochta hun main
teri har baat sochta hun main
kaun se phul tujh ko bhate hain
rang kya kya pasand aate hain
kho sa jata hun teri jannat mein
main tujhe chahta nahin lekin
main tujhe chahta nahin lekin
phir bhi ehsas se najat nahin
sochta hun to ranj hota hai
dil ko jaise koi Dubota hai
jis ko itna sarahta hun main
jis ko is darja chahta hun main
us mein teri si koi baat nahin
main tujhe chahta nahin lekin
(777) Peoples Rate This