Raushniyan
aaj bhi kitni an-ginat shamen
mere sine mein jhilmilati hain
kitne aariz ki jhalkiyan ab tak
dil mein simin waraq luTati hain
kitne hira-tarash jismon ki
bijliyan dil mein kaund jati hain
kitni taron se KHush-numa aankhen
meri aankhon mein muskuraati hain
kitne honTon ki gul-fishan aanchen
mere honTon mein sansanati hain
kitni shab-tab reshmi zulfen
mere bazu pe sarsaraati hain
kitni KHush-rang motiyon se bhari
baaliyan dil mein TimTimati hain
kitni gori kalaiyon ki lawen
dil ke goshon mein jagmagati hain
kitni rangin hatheliyan chhup kar
dhime dhime kanwal jalati hain
kitni aanchal se phuTti kirnen
mere pahlu mein rasmasati hain
kitni payal ki shoKH jhankaren
dil mein chingariyan uDati hain
kitni angDaiyan dhanak ban kar
KHud ubharti hain TuT jati hain
kitni gul-posh naqrai banhen
dil ko halqe mein le ke gati hain
aaj bhi kitni an-ginat shamen
mere sine mein jhilmilati hain
apne is jalwa-gar tasawwur ki
jaan-faza dilkashi se zinda hun
in hi bite jawan lamhon ki
shoKH-tabindagi se zinda hun
yahi yaadon ki raushni to hai
aaj jis raushni se zinda hun
aao main tum se e'tiraf karun
main isi shairi se zinda hun
(833) Peoples Rate This