KHak-e-dil
lucknow mere watan mere chaman-zar watan
tere gahwara-e-aghosh mein ai jaan-e-bahaar
apni duniya-e-hasin dafn kiye jata hun
tu ne jis dil ko dhaDakne ki ada baKHshi nahin
aaj wo dil bhi yahin dafn kiye jata hun
dafn hai dekh mera ahd-e-bahaaran tujh mein
dafn hai dekh meri ruh-e-gulistan tujh mein
meri gul-posh jawan-sal umangon ka suhag
meri shadab tamanna ke mahakte hue KHwab
meri bedar jawani ke firozan mah o sal
meri shamon ki malahat meri subhon ka jamal
meri mahfil ka fasana meri KHalwat ka fusun
meri diwangi-e-shauq mera naz-e-junun
mere marne ka saliqa mere jine ka shuur
mera namus-e-wafa meri mohabbat ka ghurur
meri nabzon ka tarannum mere naghmon ki pukar
mere sheron ki sajawaT mere giton ka singar
lucknow apna jahan saunp chala hun tujh ko
apna har KHwab-e-jawan saunp chala hun tujh ko
apna sarmaya-e-jaan saunp chala hun tujh ko
lucknow mere watan mere chaman-zar watan
ye mere pyar ka madfan hi nahin hai tanha
dafn hain is mein mohabbat ke KHazane kitne
ek unwan mein muzmar hain fasane kitne
ek bahan apni rifaqat ki qasam khae hue
ek man mar ke bhi sine mein liye man ka gudaz
apne bachchon ke laDakpan ko kaleje se lagae
apne khilte hue masum shagufon ke liye
band aankhon mein bahaaron ke jawan KHwab basae
ye mere pyar ka madfan hi nahin hai tanha
ek sathi bhi tah-e-KHak yahan soti hai
arsa-e-dahr ki be-rahm kashakash ka shikar
jaan de kar bhi zamane se na mane hue haar
apne tewar mein wahi azm-e-jawan-sal liye
ye mere pyar ka madfan hi nahin hai tanha
dekh ek sham-e-sar-e-rah-guzar chalti hai
jagmagata hai agar koi nishan-e-manzil
zindagi aur bhi kuchh tez qadam chalti hai
lucknow mere watan mere chaman-zar watan
dekh is KHwab-gah-e-naz pe kal mauj-e-saba
le ke nau-roz-e-bahaaran ki KHabar aaegi
surKH phulon ka baDe naz se gundhe hue haar
kal isi KHak pe gul-rang sahar aaegi
kal isi KHak ke zarron mein sama jaega rang
kal mere pyar ki taswir ubhar aaegi
ai meri ruh-e-chaman KHak-e-lahad se teri
aaj bhi mujh ko tere pyar ki bu aati hai
zaKHm sine ke mahakte hain teri KHushbu se
wo mahak hai ki meri sans ghuTi jati hai
mujh se kya baat banaegi zamane ki jafa
maut KHud aankh milate hue sharmati hai
main aur in aankhon se dekhun tujhe paiwand-e-zamin
is qadar zulm nahin hae nahin hae nahin
koi ai kash bujha de meri aankhon ke diye
chhin le mujh se koi kash nigahen meri
ai meri sham-e-wafa ai meri manzil ke charagh
aaj tarik hui jati hain rahen meri
tujh ko roun bhi to kya roun ki in aankhon mein
ashk patthar ki tarah jam se gae hain mere
zindagi arsa-gah-e-johd-e-musalsal hi sahi
ek lamhe ko qadam tham se gae hain mere
phir bhi is arsa-gah-e-johd-e-musalsal se mujhe
koi aawaz pe aawaz diye jata hai
aaj sota hi tujhe chhoD ke jaana hoga
naz ye bhi gham-e-dauran ka uThana hoga
zindagi dekh mujhe hukm-e-safar deti hai
ek dil-e-shola-ba-jaan sath liye jata hun
har qadam tu ne kabhi azm-e-jawan baKHsha tha!
main wahi azm-e-jawan sath liye jata hun
chum kar aaj teri KHak-e-lahad ke zarre
an-ginat phul mohabbat ke chaDhata jaun
jaane is samt kabhi mera guzar ho ki na ho
aaKHiri bar gale tujh ko lagata jaun
lucknow mere watan mere chaman-zar watan
dekh is KHak ko aankhon mein basa kar rakhna
is amanat ko kaleje se laga kar rakhna
(1237) Peoples Rate This