Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4cdbdabab2d525148f117b8206c48c20, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hawwa Ki BeTi - Jaan Nisar Akhtar Poetry In English - Darsaal

Hawwa Ki BeTi

shiddat-e-iflas se jab zindagi thi tujh pe tang

ishtiha ke sath thi jab ghairat o ismat ki jang

ghat mein teri raha ye KHud-gharaz sarmaya-dar

khelta hai jo barabar nau-e-insan ka shikar

rafta rafta luT li teri mata-e-abru

KHub chusa teri rag rag se jawani ka lahu

khelte hain aaj bhi tujh se yahi sarmaya-dar

ye tamaddun ke KHuda tahzib ke parwardigar

samne duniya ke tuf karte hain tere nam par

KHalwaton mein jo tere qadmon pe rakh dete hain sar

raste mein din ko le sakte nahin tera salam

raat ko jo tere hathon se chaDha jate hain jam

tere kucha se jinhen ho kar guzarna hai gunah

garm un ki sans se rahti hai teri KHwab-gah

mahfilon mein tujh se kar sakte nahin jo guftugu

tere aanchal mein bandhi hai un ki jhuTi aabru

peT ki KHatir agar tu bechti hai jism aaj

kaun hai nafrat se tujh ko dekhne wala samaj

(932) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawwa Ki BeTi In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Hawwa Ki BeTi is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Hawwa Ki BeTi for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Hawwa Ki BeTi in PDF.