Hasin Aag
teri peshani-e-rangin mein jhalakti hai jo aag
tere ruKHsar ke phulon mein damakti hai jo aag
tere sine mein jawani ki dahakti hai jo aag
zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de
teri aankhon mein farozan hain jawani ke sharar
lab-e-gul-rang pe raqsan hain jawani ke sharar
teri har sans mein ghaltan hain jawani ke sharar
zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de
har ada mein hai jawan aatish-e-jazbaat ki rau
ye machalte hue shoale ye taDapti hui lau
aa meri ruh pe bhi Dal de apna partaw
zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de
kitni mahrum nigahen hain tujhe kya malum
kitni tarsi hui bahen hain tujhe kya malum
kaisi dhundli meri rahen hain tujhe kya malum
zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de
aa ki zulmat mein koi nur ka saman kar lun
apne tarik shabistan ko shabistan kar lun
is andhere mein koi shama farozan kar lun
zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de
bar-e-zulmat se sine ki faza hai bojhal
na koi saz-e-tamanna na koi soz-e-amal
aa ki mashal se teri main bhi jala lun mashal
zindagi ki ye hasin aag mujhe bhi de de
(807) Peoples Rate This