AaKHiri Mulaqat
mat roko inhen pas aane do
ye mujh se milne aae hain
main KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
do panw bane hariyali par
ek titli baiThi Dali par
kuchh jagmag jugnu jangal se
kuchh jhumte hathi baadal se
ye ek kahani nind bhari
ek taKHt pe baiThi ek pari
kuchh gin gin karte parwane
do nanhe nanhe dastane
kuchh uDte rangin ghubare
babbu ke dupaTTe ke tare
ye chehra banno buDhi ka
ye TukDa man ki chuDi ka
ye mujh se milne aae hain
main KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
lasai hui rut sawan ki
kuchh saundhi KHushbu aangan ki
kuchh TuTi rassi jhule ki
ek choT kasakti kulhe ki
sulgi si angiThi jaDon mein
ek chehra kitni aaDon mein
kuchh chandni raaten garmi ki
ek lab par baaten narmi ki
kuchh rup hasin kashanon ka
kuchh rang hare maidanon ka
kuchh haar mahakti kaliyon ke
kuchh nam watan ki galiyon ke
mat roko inhen pas aane do
ye mujh se milne aae hain
main KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
kuchh chand chamakte galon ke
kuchh bhanwre kale baalon ke
kuchh nazuk shiknen aanchal ki
kuchh narm lakiren kajal ki
ek khoi kaDi afsanon ki
do aankhen raushan-danon ki
ek surKH dulai goT lagi
kya jaane kab ki choT lagi
ek chhalla phiki rangat ka
ek loket dil ki surat ka
rumal kai resham se kaDhe
wo KHat jo kabhi main ne na paDhe
mat roko inhen pas aane do
ye mujh se milne aae hain
mein KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
kuchh ujDi mangen shamon ki
aawaz shikasta jamon ki
kuchh TukDe KHali botal ke
kuchh ghungru TuTi pael ke
kuchh bikhre tinke chilman ke
kuchh purze apne daman ke
ye tare kuchh tharrae hue
ye git kabhi ke gae hue
kuchh sher purani ghazlon ke
unwan adhuri nazmon ke
TuTi hui ek ashkon ki laDi
ek KHushk qalam ek band ghaDi
mat roko inhen pas aane do
ye mujh se milne aae hain
main KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
kuchh rishte TuTe TuTe se
kuchh sathi chhuTe chhuTe se
kuchh bigDi bigDi taswiren
kuchh dhundli dhundli tahriren
kuchh aansu chhalke chhalke se
kuchh moti Dhalke Dhalke se
kuchh naqsh ye hairan hairan se
kuchh aks ye larzan larzan se
kuchh ujDi ujDi duniya mein
kuchh bhaTki bhaTki aashaen
kuchh bikhre bikhre sapne hain
ye ghair nahin sab apne hain
mat roko inhen pas aane do
ye mujh se milne aae hain
main KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
(2276) Peoples Rate This