Zamin Hogi Kisi Qatil Ka Daman Hum Na Kahte The

zamin hogi kisi qatil ka daman hum na kahte the

akarat jaega KHun-e-shahidan hum na kahte the

ilaj-e-chaak-e-pairahan hua to is tarah hoga

siya jaega kanTon se gareban hum na kahte the

tarane kuchh diye lafzon mein KHud ko qaid kar lenge

ajab andaz se phailega zindan hum na kahte the

koi itna na hoga lash bhi le ja ke dafna de

inhin saDkon pe mar jaega insan hum na kahte the

nazar lipTi hai sholon mein lahu tapta hai aankhon mein

uTha hi chahta hai koi tufan hum na kahte the

chhalakte jam mein bhigi hui aankhen utar aain

sataegi kisi din yaad-e-yaran hum na kahte the

nai tahzib kaise lucknow ko ras aaegi

ujaD jaega ye shahr-e-ghazalan hum na kahte the

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Hogi Kisi Qatil Ka Daman Hum Na Kahte The In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Zamin Hogi Kisi Qatil Ka Daman Hum Na Kahte The is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Zamin Hogi Kisi Qatil Ka Daman Hum Na Kahte The for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Zamin Hogi Kisi Qatil Ka Daman Hum Na Kahte The in PDF.