Wo Humse Aaj Bhi Daman-kashan Chale Hai Miyan
wo hum se aaj bhi daman-kashan chale hai miyan
kisi pe zor hamara kahan chale hai miyan
jahan bhi thak ke koi karwan Thaharta hai
wahin se ek naya karwan chale hai miyan
jo ek samt guman hai to ek samt yaqin
ye zindagi to yunhi darmiyan chale hai miyan
badalte rahte hain bas nam aur to kya hai
hazaron sal se ek dastan chale hai miyan
har ek qadam hai nai aazmaishon ka hujum
tamam umr koi imtihan chale hai miyan
wahin pe ghumte rahna to koi baat nahin
zamin chale hai to aage kahan chale hai miyan
wo ek lamha-e-hairat ki lafz sath na den
nahin chale hai na aise mein han chale hai miyan
(770) Peoples Rate This