Tumhaare Jashn Ko Jashn-e-farozan Hum Nahin Kahte
tumhaare jashn ko jashn-e-farozan hum nahin kahte
lahu ki garm bundon ko charaghan hum nahin kahte
agar had se guzar jae dawa to ban nahin jata
kisi bhi dard ko duniya ka darman hum nahin kahte
nazar ki intiha koi na dil ki intiha koi
kisi bhi husn ko husn-e-farawan hum nahin kahte
kisi aashiq ke shane par bikhar jae to kya kahna
magar is zulf ko zulf-e-pareshan hum nahin kahte
na bu-e-gul mahakti hai na shaKH-e-gul lachakti hai
abhi apne gulistan ko gulistan hum nahin kahte
bahaaron se junun ko har tarah nisbat sahi lekin
shaguft-e-gul ko aashiq ka gareban hum nahin kahte
hazaron sal bite hain hazaron sal bitenge
badal jaegi kal taqdir-e-insan hum nahin kahte
(794) Peoples Rate This