Tulu-e-subh Hai Nazren UTha Ke Dekh Zara
tulu-e-subh hai nazren uTha ke dekh zara
shikast-e-zulmat-e-shab muskura ke dekh zara
gham-e-bahaar o gham-e-yar hi nahin sab kuchh
gham-e-jahan se bhi dil ko laga ke dekh zara
bahaar kaun si saughat le ke aai hai
hamare zaKHm-e-tamanna tu aa ke dekh zara
har ek samt se ek aaftab ubhrega
charagh-e-dair-o-haram to bujha ke dekh zara
wajud-e-ishq ki tariKH ka pata to chale
waraq ulaT ke tu arz o sama ke dekh zara
mile to tu hi mile aur kuchh qubul nahin
jahan mein hausle ahl-e-wafa ke dekh zara
teri nazar se hai rishta mere gireban ka
kidhar hai meri taraf muskura ke dekh zara
(904) Peoples Rate This