Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f483921713d8113c9767fce46c2a4ea3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tu Is Qadar Mujhe Apne Qarib Lagta Hai - Jaan Nisar Akhtar Poetry In English - Darsaal

Tu Is Qadar Mujhe Apne Qarib Lagta Hai

tu is qadar mujhe apne qarib lagta hai

tujhe alag se jo sochun ajib lagta hai

jise na husn se matlab na ishq se sarokar

wo shaKHs mujh ko bahut bad-nasib lagta hai

hudud-e-zat se bahar nikal ke dekh zara

na koi ghair na koi raqib lagta hai

ye dosti ye marasim ye chahaten ye KHulus

kabhi kabhi mujhe sab kuchh ajib lagta hai

ufuq pe dur chamakta hua koi tara

mujhe charagh-e-dayar-e-habib lagta hai

(1756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Is Qadar Mujhe Apne Qarib Lagta Hai In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Tu Is Qadar Mujhe Apne Qarib Lagta Hai is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Tu Is Qadar Mujhe Apne Qarib Lagta Hai for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Tu Is Qadar Mujhe Apne Qarib Lagta Hai in PDF.