Sau Chand Bhi Chamkenge To Kya Baat Banegi

sau chand bhi chamkenge to kya baat banegi

tum aae to is raat ki auqat banegi

un se yahi kah aaen ki ab hum na milenge

aaKHir koi taqrib-e-mulaqat banegi

ai nawak-e-gham dil mein hai ek bund lahu ki

kuchh aur to kya hum se mudaraat banegi

ye hum se na hoga ki kisi ek ko chahen

ai ishq hamari na tere sat banegi

ye kya hai ki baDhte chalo baDhte chalo aage

jab baiTh ke sochenge to kuchh baat banegi

(2214) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sau Chand Bhi Chamkenge To Kya Baat Banegi In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Sau Chand Bhi Chamkenge To Kya Baat Banegi is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Sau Chand Bhi Chamkenge To Kya Baat Banegi for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Sau Chand Bhi Chamkenge To Kya Baat Banegi in PDF.