RuKHon Ke Chand Labon Ke Gulab Mange Hai
ruKHon ke chand labon ke gulab mange hai
badan ki pyas badan ki sharab mange hai
main kitne lamhe na jaane kahan ganwa aaya
teri nigah to sara hisab mange hai
tamam arsa-e-hasti dhuan dhuan hai to kya
har ek aankh mohabbat ka KHwab mange hai
main kis se puchhne jaun ki aaj har koi
mere sawal ka mujh se jawab mange hai
dil-e-tabah ka ye hausla bhi kya kam hai
har ek dard se jine ki tab mange hai
baja ki waz-e-haya bhi hai ek chiz magar
nashat-e-wasl tujhe be-hijab mange hai
jo iztirab ba-zahir sukun lagta hai
har ek sher wahi iztirab mange hai
(725) Peoples Rate This