Muddat Hui Us Jaan-e-haya Ne Humse Ye Iqrar Kiya
muddat hui us jaan-e-haya ne hum se ye iqrar kiya
jitne bhi badnam hue hum utna us ne pyar kiya
pahle bhi KHush-chashmon mein hum chaukanna se rahte the
teri soi aankhon ne to aur hamein hoshiyar kiya
jate jate koi hum se achchhe rahna kah to gaya
puchhe lekin puchhne wale kis ne ye bimar kiya
qatra qatra sirf hua hai ishq mein apne dil ka lahu
shakl dikhai tab us ne jab aankhon ko KHun-bar kiya
hum par kitni bar paDe ye daure bhi tanhai ke
jo bhi hum se milne aaya milne se inkar kiya
ishq mein kya nuqsan nafa hai hum ko kya samjhate ho
hum ne sari umr hi yaro dil ka karobar kiya
mahfil par jab nind si chhai sab ke sab KHamosh hue
hum ne tab kuchh sher sunaya logon ko bedar kiya
ab tum socho ab tum jaano jo chaho ab rang bharo
hum ne to ek naqsha khincha ek KHaka tayyar kiya
desh se jab pardesh sidhaare hum par ye bhi waqt paDa
nazmen chhoDi ghazlen chhoDi giton ka bewpar kiya
(870) Peoples Rate This