Mauj-e-gul Mauj-e-saba Mauj-e-sahar Lagti Hai

mauj-e-gul mauj-e-saba mauj-e-sahar lagti hai

sar se pa tak wo saman hai ki nazar lagti hai

hum ne har gam pe sajdon ke jalae hain charagh

ab hamein teri gali rahguzar lagti hai

lamhe lamhe mein basi hai teri yaadon ki mahak

aaj ki raat to KHushbu ka safar lagti hai

jal gaya apna nasheman to koi baat nahin

dekhna ye hai ki ab aag kidhar lagti hai

sari duniya mein gharibon ka lahu bahta hai

har zamin mujh ko mere KHun se tar lagti hai

koi aasuda nahin ahl-e-siyasat ke siwa

ye sadi dushman-e-arbab-e-hunar lagti hai

waqia shahr mein kal to koi aisa na hua

ye to aKHbar ke daftar ki KHabar lagti hai

lucknow kya teri galiyon ka muqaddar tha yahi

har gali aaj teri KHak-basar lagti hai

(862) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mauj-e-gul Mauj-e-saba Mauj-e-sahar Lagti Hai In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Mauj-e-gul Mauj-e-saba Mauj-e-sahar Lagti Hai is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Mauj-e-gul Mauj-e-saba Mauj-e-sahar Lagti Hai for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Mauj-e-gul Mauj-e-saba Mauj-e-sahar Lagti Hai in PDF.