Mana Ki Rang Rang Tera Pairahan Bhi Hai

mana ki rang rang tera pairahan bhi hai

par is mein kuchh karishma-e-aks-e-badan bhi hai

aql-e-maash o hikmat-e-duniya ke bawajud

hum ko aziz ishq ka diwana-pan bhi hai

mutrib bhi tu nadim bhi tu saqiya bhi tu

tu jaan-e-anjuman hi nahin anjuman bhi hai

bazu chhua jo tu ne to us din khula ye raaz

tu sirf rang-o-bu hi nahin hai badan bhi hai

ye daur kis tarah se kaTega pahaD sa

yaro batao hum mein koi kohkan bhi hai

(726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mana Ki Rang Rang Tera Pairahan Bhi Hai In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Mana Ki Rang Rang Tera Pairahan Bhi Hai is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Mana Ki Rang Rang Tera Pairahan Bhi Hai for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Mana Ki Rang Rang Tera Pairahan Bhi Hai in PDF.