Jism Ki Har Baat Hai Aawargi Ye Mat Kaho
jism ki har baat hai aawargi ye mat kaho
hum bhi kar sakte hain aisi shaeri ye mat kaho
us nazar ki us badan ki gungunahaT to suno
ek si hoti hai har ek ragni ye mat kaho
hum se diwanon ke bin duniya sanwarti kis tarah
aql ke aage hai kya diwangi ye mat kaho
kaT saki hain aaj tak sone ki zanjiren kahan
hum bhi ab aazad hain yaro abhi ye mat kaho
panw itne tez hain uThte nazar aate nahin
aaj thak kar rah gaya hai aadmi ye mat kaho
jitne wade kal the utne aaj bhi maujud hain
un ke wadon mein hui hai kuchh kami ye mat kaho
dil mein apne dard ki chhiTki hui hai chandni
har taraf phaili hui hai tirgi ye mat kaho
(867) Peoples Rate This