Jab Lagen ZaKHm To Qatil Ko Dua Di Jae

jab lagen zaKHm to qatil ko dua di jae

hai yahi rasm to ye rasm uTha di jae

dil ka wo haal hua hai gham-e-dauran ke tale

jaise ek lash chaTanon mein daba di jae

inhin gul-rang darichon se sahar jhankegi

kyun na khilte hue zaKHmon ko dua di jae

kam nahin nashshe mein jaDe ki gulabi raaten

aur agar teri jawani bhi mila di jae

hum se puchho ki ghazal kya hai ghazal ka fan kya

chand lafzon mein koi aag chhupa di jae

(945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Lagen ZaKHm To Qatil Ko Dua Di Jae In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Jab Lagen ZaKHm To Qatil Ko Dua Di Jae is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Jab Lagen ZaKHm To Qatil Ko Dua Di Jae for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Jab Lagen ZaKHm To Qatil Ko Dua Di Jae in PDF.