Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b87afe2a46612fc850bb76ce39ca19af, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hausla Kho Na Diya Teri Nahin Se Humne - Jaan Nisar Akhtar Poetry In English - Darsaal

Hausla Kho Na Diya Teri Nahin Se Humne

hausla kho na diya teri nahin se hum ne

kitni shiknon ko chuna teri jabin se hum ne

wo bhi kya din the ki diwana bane phirte the

sun liya tha tere bare mein kahin se hum ne

jis jagah pahle-pahal nam tera aata hai

dastan apni sunai hai wahin se hum ne

yun to ehsan hasinon ke uThae hain bahut

pyar lekin jo kiya hai to tumhin se hum ne

kuchh samajh kar hi KHuda tujh ko kaha hai warna

kaun si baat kahi itne yaqin se hum ne

(768) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hausla Kho Na Diya Teri Nahin Se Humne In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Hausla Kho Na Diya Teri Nahin Se Humne is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Hausla Kho Na Diya Teri Nahin Se Humne for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Hausla Kho Na Diya Teri Nahin Se Humne in PDF.